اردو हिंदी
Kam-tar ya beshtar gae hum | Shaahi Shayari
kam-tar ya beshtar gae hum

Ghazal

Kam-tar ya beshtar gae hum

Hasrat Azimabadi

;

kam-tar ya beshtar gae hum
us dar se ba-chashm-e-nam gae hum

ek gul na chuna hum us chaman se
le apna hi musht-e-par gae hum

baize se nikalte hi sar haif
yun qaid-e-qafas mein paD gae hum

bin yar laga na dil kidhar bhi
jitna ki idhar udhar gae hum

kya dur se muskura ke sarka
kal us ki nazar jo paD gae hum

duniya ka wa din ka hum ko kya hosh
mast aae wa be-KHabar gae hum

us jaan-e-aziz ne na puchha
jite hain ya ki mar gae hum

kuchh kaam na tha hamein kisi se
lene dil ki KHabar gae hum

itni muddat ke baad 'hasrat'
kal raat jo us ke ghar gae hum