kam se kam duniya se itna mera rishta ho jae
koi mera bhi bura chahne wala ho jae
isi majburi mein ye bhiD ikaTTha hai yahan
jo tere sath nahin aae wo tanha ho jae
shukr us ka ada karne ka KHayal aae kise
abr jab itna ghana ho ki andhera ho jae
han nahin chahiye us darja mohabbat teri
ki mera sach bhi tere jhuT ka hissa ho jae
band aankhon ne sarabon se bachaya hai mujhe
aankh wala ho to is khel mein andha ho jae
main bhi qatra hun teri baat samajh sakta hun
ye ki miT jaane ke Dar se koi dariya ho jae
bas isi baat pe aainon se bigDi meri
chahta tha mera apna koi chehra ho jae
bazm-e-yaran mein yahi rang to dete hain maza
koi roe to hansi se koi dohra ho jae
Ghazal
Kam se kam duniya se itna mera rishta ho jae
Shariq Kaifi