kam se kam apna bharam to nahin khoya hota
dil ko rona tha to tanhai mein roya hota
subh se subh talak jagte hi umr kaTi
ek shab hi sahi bhar nind to soya hota
DhunDhna tha mere dil ko to kabhi palkon se
mere ashkon ke samundar ko biloya hota
dekhna tha ki nazar chubhti hai kaise to kabhi
is ke paikar mein nigahon ko guDoya hota
jab yaqin us ko na pane ka hua to jaana
yahi behtar tha ki pa kar use khoya hota
na mila koi bhi gham banTne wala warna
apna bojh apne hi kandhon pe na Dhoya hota
us ko puja na kabhi jis ko tarasha 'azar'
nam is tarah to apna na Duboya hota
Ghazal
Kam se kam apna bharam to nahin khoya hota
Rashid Aazar

