kam-baKHt dil bura hua teri aah aah ka
husn-e-nigah bhi na raha gah gah ka
chheDo na miThi nind mein ai munkar-o-nakir
sone do bhai main thaka-manda hun rah ka
mere muqallidon ko meri rah-e-shauq mein
har gam par nishan mila sajda-gah ka
dil sa gawah hashr mein aa kar phisal gaya
ab rahm par muamla hai dad-KHwah ka
kis munh se kah rahe ho hamein kuchh gharaz nahin
kis munh se tum ne wada kiya tha nibah ka
dil lene wali baat isi dil se pochhiye
malik yahi hai mere safed o siyah ka
pesh-e-KHuda chalo to maza jab hai ai 'hafiz'
nara ho lab pe ashhado-an-la-ilah ka
Ghazal
Kam-baKHt dil bura hua teri aah aah ka
Hafeez Jalandhari