kali kali mein nihan hichkichahaTen pahchan
tu shaKH-e-gul pe gul-e-nau ki aahaTen pahchan
lahu ki aankh se paDh mere zabt ki tahrir
labon pe lafz na gin kapkapahaTen pahchan
main pankhuDi ki tarah apne honT wa kar dun
tu titliyon ki tarah gungunahaTen pahchan
mahaz khol diya hai to gahri nind na so
hawa ke bhes mein hain sansanahaTen pahchan
ye jhuTe nag hain magar husn se tarashe hain
tu jauhari hai agar jagmagahaTen pahchan
wo kala sanp hai tujh ko nazar na aaega
tu jhaDiyon mein chhupi sarsarahaTen pahchan
'nazir' log to chehre badalte rahte hain
tu itna sada na ban muskurahaTen pahchan
Ghazal
Kali kali mein nihan hichkichahaTen pahchan
nazeer Tabassum