kal us ke nek banne ka imkan bhi to hai
mujrim zarur hai magar insan bhi to hai
chehra hasin wo dushman-e-iman bhi to hai
lekin nashat-e-ruh ka saman bhi to hai
ghurbat ki Thokaron mein jo pal kar jawan hua
tufan ke ru-ba-ru wahi chaTTan bhi to hai
kal tak uThi thin jis ki sharafat pe ungliyan
apne kiye pe aaj pasheman bhi to hai
hun apne doston ki nigahon mein mohtaram
mujh ko mila KHulus ka wardan bhi to hai
qurbat hai us ki wajh-e-qarar-o-sukun magar
us ka shabab hashr ka saman bhi to hai
samjha gaya hai jis ko sharafat ka pasdar
baatin mein bad-shiar wo shaitan bhi to hai
qatil tu ghar pe kaise kahun main bura bhala
izzat-maab hai mera mehman bhi to hai
'nayyar' junun-e-shauq mein ruswa hua to kya
us ki alag samaj mein pahchan bhi to hai
Ghazal
Kal uske nek banne ka imkan bhi to hai
Nayyar Qureshi Gangohi