kal us ke chehre ko hum ne jo aaftab likha
to us ne paDh ke wo nama bahut itab likha
jabin ko mah jo likha to kaha ho chin-ba-jabin
ye kaisi us ki samajh thi jo mahtab likha
chamakte danton ko gauhar likha to hans ke kaha
sitare uD gae the jo dur-e-KHush-ab likha
likha jo mushk-e-KHata zulf ko to bal kha kar
kaha KHata ki jo ye harf-e-na-sawab likha
gulab araq ko likha to ye bola nak chaDha
use na itr mayassar tha jo gulab likha
jigar kabab likha apna to kaha jal kar
bhala ji kya main sharabi tha jo kabab likha
hisab-e-shauq ka daftar likha to jhunjhla kar
kaha main kya mutasaddi tha jo hisab likha
jo be-hisab likha ishtiyaq-e-dil to kaha
wo kis hisab mein hai ye bhi be-hisab likha
hue jo radd-o-badal aise kitne bar nazir
to us ne KHat ka hamare na phir jawab likha
Ghazal
Kal uske chehre ko humne jo aaftab likha
Nazeer Akbarabadi