kal tak jo dil ghurur-e-jalal-o-jamal tha
aaj un ke raste mein paDa paemal tha
zanjir thi kahin na kahin koi jal tha
lekin teri faza se nikalna muhaal tha
tha tir un ke pas wahi ek be-nazir
aur zaKHm jo laga wo bhi apni misal tha
us ne bhala kaha ki bura us ki KHair ho
main sun ke chup raha to ye mera kamal tha
chup-chap sar jhukae hue main guzar gaya
main jaanta tha jo teri basti ka haal tha
achchha hua guzar gaya 'aKHtar' jahan se
muddat se wo 'said' ke gham mein niDhaal tha

Ghazal
Kal tak jo dil ghurur-e-jalal-o-jamal tha
Saeed Ahmad Akhtar