kal shab-e-hijran thi lab par nala bimarana tha
sham se ta subh dam-e-baalin pe sar yakja na tha
shohra-e-alam use yumn-e-mohabbat ne kiya
warna majnun ek KHak uftada-e-virana tha
manzil us mah ki raha jo muddaton ai ham-nashin
ab wo dil goya ki ek muddat ka matam-KHana tha
ek nigah-e-ashna ko bhi wafa karta nahin
wa huin mizhgan ki sabza sabza-e-begana tha
roz o shab guzre hai pech-o-tab mein rahte tujhe
ai dil-e-sad-chaak kis ki zulf ka tu shana tha
yaad ayyame ki apne roz o shab ki ja-e-bash
ya dar-e-baz-e-bayaban ya dar-e-mai-KHana tha
jis ko dekha hum ne is wahshat-kade mein dahr ke
ya siDi ya KHabti ya majnun ya diwana tha
baad KHun-rezi ke muddat be-hina rangin raha
hath us ka jo mere lohu mein gustaKHana tha
ghair ke kahne se mara un ne hum ko be-gunah
ye na samjha wo ki waqe mein bhi kuchh tha ya na tha
subh hote wo bina-gosh aaj yaad aaya mujhe
jo gira daman pe aansu gauhar-e-yak-dana tha
shab farogh-e-bazm ka bais hua tha husn-e-dost
shama ka jalwa ghubar-e-dida-e-parwana tha
raat us ki chashm-e-maigun KHwab mein dekhi thi main
subh sote se uTha to samne paimana tha
rahm kuchh paida kiya shayad ki us be-rahm ne
gosh us ka shab idhar ta aaKHir-e-afsana tha
'mir' bhi kya mast tafeh tha sharab-e-ishq ka
lab pe aashiq ke hamesha nara-e-mastana tha
Ghazal
Kal shab-e-hijran thi lab par nala bimarana tha
Mir Taqi Mir