kal sham lab-e-baam jo wo jalwa-numa tha
kis shauq se main dur khaDa dekh raha tha
jab dost bhi dushman ka taraf-dar hua tha
Thanka tha usi din sar-e-mahfil mera matha
gunja hua ek naghma sar-e-arz-o-sama tha
naghma tha ki biti hui sadiyon ki sada tha
bhuli nahin ujDe hue gulshan ki bahaaren
han yaad hain wo din ki hamara bhi KHuda tha
har barg se aati thi gul-o-lala ki KHushbu
har mauj-e-hawa mein nafas-e-yar ghula tha
tasir-ba-daman thin jawani ki duaen
har aah asar-KHez thi har nala rasa tha
jhapki thi zara aankh ki barham hui mahfil
hum ne abhi kuchh un se kaha tha na suna tha
jis baat ka izhaar tha izhaar-e-haqiqat
dekha to usi baat pe hangama bapa tha
wo darpai-e-azar hain ahbab muKHalif
ye din bhi gharibon ke muqaddar mein likha tha
kya dekh liya aaj ki ji soch raha hai
ye waqia yunhi kabhi pahle bhi hua tha
hum bazm se jaenge to ahbab kahenge
ek shair-e-awara yahan naghma-sara tha
begana-washi kam na hui aap ki us se
har chand 'hamid' aap ka paband-e-wafa tha
Ghazal
Kal sham lab-e-baam jo wo jalwa-numa tha
Hameed Jalandhari