kal raat kai KHwab-e-pareshan nazar aae
jo shahr ki aabaad the viran nazar aae
bikhri hui rondi hui lashon se guzar kar
TuTe hue minar-e-shahidan nazar aae
kohsar-e-himala ki jhalak KHwab mein dekhi
ganga mein ubalte hue tufan nazar aae
pahle to kisi qarya-e-barbaad mein Thahre
aage jo baDhe gor-e-ghariban nazar aae
mahki hui ajdad ki KHushbu se hawaen
har-gam pe aasar-e-azizan nazar aae
jis ghar mein farishton ki ziya thi usi ghar mein
arwah-e-KHabisa ke charaghan nazar aae
jo matla-e-taqdis-e-mohabbat the wo chehre
KHafagi ke sabab hum se gurezan nazar aae
hum jin ko dagha de ke kahin bhag gae the
wo ahl-e-haram ba-sar-e-uryan nazar aae
ek pir-e-muqaddas ka hayula nazar aaya
phir rish-e-safed-o-dur-e-dandan nazar aae
hum jin ki pareshani-e-KHatir ka sabab the
wo aalam-e-ruya mein pareshan nazar aae
ek daman-e-ismat ki kiran dur se phuTi
daman pe kai gauhar-e-ghaltan nazar aae
thi jis ke tabassum mein malaek ki halawat
sad-haif ki wo KHwab mein giryan nazar aae
is shahr ko jo shaKHs ke maulid ka sharaf ho
wo shaKHs usi shahr mein mehman nazar aae
lab par hai 'rais' apne ye misra kai din se
kal raat kai KHwab pareshan nazar aae
Ghazal
Kal raat kai KHwab-e-pareshan nazar aae
Rais Amrohvi