kal nashshe mein tha wo but masjid mein gar aa jata
iman se kaho yaro phir kis se raha jata
murde ko jila lete girte ko uTha lete
ek dam ko jo yan aate to aap ka kya jata
ye kahiye ki dhyan us ko aata hi nahin warna
mahshar se to sau fitne wo dam mein uTha jata
mahfil mein mujhe dekha to hans ke lage kahne
aane se har ek ke hai sohbat ka maza jata
izaen ye pai hain maqdur agar hota
main rasm-e-tashshuq ko duniya se uTha jata
kyun pas mere aa kar yun baiThe ho munh phere
kya lab tere misri hain main jin ko chaba jata
kya jalwa-numa wo mah koThe pe hua aa kar
kuchh aaj sawere se suraj hai chhupa jata
ye kahishen kyun hotin ghabra ke agar ye dil
pahlu se nikal jata aaram sa aa jata
achchha hua mahfil mein 'majruh' na kuchh bola
wo haal agar kahta to kis se suna jata
Ghazal
Kal nashshe mein tha wo but masjid mein gar aa jata
Meer Mehdi Majrooh