اردو हिंदी
Kal mere qatl ko is Dhab se wo banka nikla | Shaahi Shayari
kal mere qatl ko is Dhab se wo banka nikla

Ghazal

Kal mere qatl ko is Dhab se wo banka nikla

Nazeer Akbarabadi

;

kal mere qatl ko is Dhab se wo banka nikla
munh se jallad-e-falak ke bhi ahaha nikla

aage aahon ke nishan samjhe mere ashkon ke
aaj is dhum se zalim tera shaida nikla

yun to hum kuchh na the par misl-e-anar-o-mahtab
jab hamein aag lagai to tamasha nikla

kya ghalat-fahmi hai sad-haif ki marte dam tak
jis ko hum samjhe the qatil wo masiha nikla

gham mein hum bhan-mati ban ke jahan baiThe the
ittifaqan kahin wo shoKH bhi wan aa nikla

sine ki aag dikhane ko dahan se mere
shoale par shoala bhabhuke pe bhabhuka nikla

mat shafaq kah ye tera KHun falak par hai 'nazir'
dekh Tapka tha kahan aur kahan ja nikla