اردو हिंदी
Kal KHwab mein dekha sakhi maine piya ka ganw re | Shaahi Shayari
kal KHwab mein dekha sakhi maine piya ka ganw re

Ghazal

Kal KHwab mein dekha sakhi maine piya ka ganw re

Hasan Kamal

;

kal KHwab mein dekha sakhi main ne piya ka ganw re
kanTa wahan ka phul tha aur dhup jaise chhanw re

jo dekhna chahe unhen aa kar mujhi ko dekh le
un ka mera ek rup re un ka mera ek nanw re

hai sath yun din-raat ka kangna se jaise hath ka
dil mein uljha hai yun pael mein jaise panw re

mehndi mein lali jis tarah kanon mein baali jis tarah
jab yun mile to kya chale duniya ka hum pe danw re

sab se saral bhasha wahi sab se madhur boli wahi
bolin jo naina banware samjhen jo sayyan sanware

hum kab mile kaise mile koi na jaane bhed ye
thoDa bahut jaanen 'hasan' lekin wo Thahra banware