اردو हिंदी
Kal ke liye kar aaj na KHissat sharab mein | Shaahi Shayari
kal ke liye kar aaj na KHissat sharab mein

Ghazal

Kal ke liye kar aaj na KHissat sharab mein

Mirza Ghalib

;

kal ke liye kar aaj na KHissat sharab mein
ye su-e-zan hai saqi-e-kausar ke bab mein

hain aaj kyun zalil ki kal tak na thi pasand
gustaKHi-e-farishta hamari janab mein

jaan kyun nikalne lagti hai tan se dam-e-sama
gar wo sada samai hai chang o rabab mein

rau mein hai raKHsh-e-umr kahan dekhiye thame
ne hath bag par hai na pa hai rikab mein

utna hi mujh ko apni haqiqat se bod hai
jitna ki wahm-e-ghair se hun pech-o-tab mein

asl-e-shuhud-o-shahid-o-mashhud ek hai
hairan hun phir mushahida hai kis hisab mein

hai mushtamil numud-e-suwar par wajud-e-bahar
yan kya dhara hai qatra o mauj-o-habab mein

sharm ek ada-e-naz hai apne hi se sahi
hain kitne be-hijab ki hain yun hijab mein

aaraish-e-jamal se farigh nahin hunuz
pesh-e-nazar hai aaina daim naqab mein

hai ghaib-e-ghaib jis ko samajhte hain hum shuhud
hain KHwab mein hunuz jo jage hain KHwab mein

'ghaalib' nadim-e-dost se aati hai bu-e-dost
mashghul-e-haq hun bandagi-e-bu-turab mein