kal jo rone par mere Tuk dhyan us ka paD gaya
hans ke yun kahne laga kuchh aankh mein kya paD gaya?
baiThe baiThe aap se kar baiThta hun kuchh gunah
panw paDne ka jo us ke mujh ko chaska paD gaya
jang-jui kya kahun us ki ki kal-parson mein aah
sulh Tuk hone na pai thi ki jhagDa paD gaya
sozish-e-dil kuchh na puchho tum ki Tuk sine pe raat
hath rakhte hi hatheli mein phaphula paD gaya
bas ki tha be-baal-o-par main daman-e-sayyaad par
KHun bhi uD kar dam-e-bismil na mera paD gaya
jo mere bad-go hain tum un ko samajhte ho bhala
wah-wa mujh se tumhein ye bair achchha paD gaya
kyun paDa dam toDta hai bistar-e-gham par dila
aah kis be-dard ke milne mein toDa paD gaya
behtari ka munh na dekha mar hi kar pai najat
kuDhte kuDhte dil mera bimar aisa paD gaya
baaten karte karte pyare dil dhaDakne kyun laga
sun ke kuchh aahaT kaho kya dil mein khaTka paD gaya
ruk gaya aisa hi wo jo phir na aaya kal jo Tuk
hath us ke panw par bhule se mera paD gaya
main to yan is baat par apne paDa malta hun hath
aur sare shahr mein kuchh aur charcha paD gaya
garche hun main nam ko 'jurat' par ab us ki taraf
aankh uTha sakta nahin ye dil mein KHatra paD gaya
Ghazal
Kal jo rone par mere Tuk dhyan us ka paD gaya
Jurat Qalandar Bakhsh