kal jinhen zindagi thi ras bahut
aaj dekha unhen udas bahut
raftagan ka nishan nahin milta
ek rahi hai zamin ghas bahut
kyun na roun teri judai mein
din guzare hain tere pas bahut
chhanw mil jae daman-e-gul ki
hai gharibi mein ye libas bahut
wadi-e-dil mein panw dekh ke rakh
hai yahan dard ki ugas bahut
sukhe patton ko dekh kar 'nasir'
yaad aati hai gul ki bas bahut
Ghazal
Kal jinhen zindagi thi ras bahut
Nasir Kazmi