اردو हिंदी
Kal ek shaKHs jo achchhe-bhale libas mein tha | Shaahi Shayari
kal ek shaKHs jo achchhe-bhale libas mein tha

Ghazal

Kal ek shaKHs jo achchhe-bhale libas mein tha

Amar Singh Figar

;

kal ek shaKHs jo achchhe-bhale libas mein tha
barahna aaj wo utra hua gilas mein tha

hum aaftab-e-daraKHshan jise samajhte the
wo ek wahm ka jugnu hawas ki ghas mein tha

zamin-o-arsh ki taqsim ke zamane mein
bashar asir-e-junun tha kahan hawas mein tha

azal se pahle hi dhun thi husul-e-paikar ki
ye kaenat ka KHaka mere qayas mein tha

main kya sulagte samundar se mangta pani
wo KHud bhi ek zamane se gharq pyas mein tha

use nasib kafan bhi nahin hua aaKHir
ki hisse-dar jo us khet ki kapas mein tha

hum us sawal ka ab tak jawab de na sake
jo ek 'figar' ki pur-ashk chashm-e-yas mein tha