kaise rishton ko sameTen ye bikharte hue log
TuT jate hain yahi faisla karte hue log
ghaur se dekho hamein, dekh ke ibrat hogi
aise hote hain bulandi se utarte hue log
ai KHuda marka-e-lashkar-e-shab baqi hai
aur mere sath hain parchhain se Darte hue log
mar ke dekhenge kabhi hum bhi, suna hai hum ne
muskuraate hain teri rah mein marte hue log
qaid-KHanon ke andheron mein baDe chain se hain
apne andar ke ujalon se guzarte hue log
kitne chehron pe sar-e-bazm karenge tanqid
aaina dekh ke tanhai mein Darte hue log
KHud-kushi karne pe aamada o majbur hain ab
zindagi! ye hain tere ishq mein marte hue log
tum to be-wajh pareshan hue ho 'tariq'
yunhi pesh aate hain wadon se mukarte hue log
Ghazal
Kaise rishton ko sameTen ye bikharte hue log
Tariq Qamar