اردو हिंदी
Kaise kahen ki yaad-e-yar raat ja chuki bahut | Shaahi Shayari
kaise kahen ki yaad-e-yar raat ja chuki bahut

Ghazal

Kaise kahen ki yaad-e-yar raat ja chuki bahut

Habib Jalib

;

kaise kahen ki yaad-e-yar raat ja chuki bahut
raat bhi apne sath sath aansu baha chuki bahut

chand bhi hai thaka thaka tare bhi hain bujhe bujhe
tere milan ki aas phir dip jala chuki bahut

aane lagi hai ye sada dur nahin hai shahr-e-gul
duniya hamari rah mein kanTe bichha chuki bahut

khulne ko hai qafas ka dar pane ko hai sukun nazar
ai dil-e-zar sham-e-gham hum ko rula chuki bahut

apni qiyaadaton mein ab DhunDenge log manzilen
rahzanon ki rahbari rah dikha chuki bahut