kaise ho kya hai haal mat puchho
mujh se mushkil sawal mat puchho
kis ne tum ko sataya hai itna
kis liye hai malal mat puchho
kyun wo KHud ko nazar nahin aata
kyun hai shishe mein baal mat puchho
jabr kis ka hai kaun hai majbur
kis ne phenka hai jal mat puchho
kaun meri KHushi ka dushman hai
mujh se tum us ka haal mat puchho

Ghazal
Kaise ho kya hai haal mat puchho
Salman Akhtar