اردو हिंदी
Kaisa saman kaisi manzil kaisi rah kaisa safar | Shaahi Shayari
kaisa saman kaisi manzil kaisi rah kaisa safar

Ghazal

Kaisa saman kaisi manzil kaisi rah kaisa safar

Javed Jameel

;

kaisa saman kaisi manzil kaisi rah kaisa safar
ham-safar hi jab nahin hai kaise phir hoga safar

nafs-e-ammara se nafs-e-mutmainna tak ki rah
aatishin mausam zamin pur-KHar aur tanha safar

hasrat-e-didar aisi faisla-kun thi meri
lamhe bhar mein ho gaya ek umr sa lamba safar

pahle manzil samne thi ab nazar se dur hai
jaane kaise kya hua kis moD par bhaTka safar

in chaTanon mein kahan ye hausla roken mujhe
karta hun 'jawed' main bhi surat-e-dariya safar