kaisa maftuh sa manzar hai kai sadiyon se
mere qadmon pe mera sar hai kai sadiyon se
KHauf rahta hai na sailab kahin le jae
meri palkon pe tera ghar hai kai sadiyon se
ashk aankhon mein sulagte hue so jate hain
ye meri aankh jo banjar hai kai sadiyon se
kaun kahta hai mulaqat meri aaj ki hai
tu meri ruh ke andar hai kai sadiyon se
main ne jis ke liye har shaKHs ko naraaz kiya
ruTh jae na yahi Dar hai kai sadiyon se
us ko aadat hai jaDen kaTte rahne ki 'wasi'
jo meri zat ka mehwar hai kai sadiyon se

Ghazal
Kaisa maftuh sa manzar hai kai sadiyon se
Wasi Shah