kai shaklon mein KHud ko sochta hai
samundar paikaron ka silsila hai
badalti rut ka nauha sun raha hai
nadi soi hai jangal jagta hai
bikharne wala KHud manzar-ba-manzar
mujhe kyun zarra zarra joDta hai
suno to phir hawa ka tez jhonka
kise aawaz deta ja raha hai
hawa ka hath thame uD raha hun
hawa fasil hawa hi fasla hai
hudud-e-arz mein gum hone wala
ufuq ko imkan imkan jaanta hai
Ghazal
Kai shaklon mein KHud ko sochta hai
Sheen Kaaf Nizam