kai na-ashna chehre hijabon se nikal aae
nae kirdar mazi ki kitabon se nikal aae
hum apne ghar mein bhi ab be-sar-o-saman se rahte hain
hamare silsile KHana-KHarabon se nikal aae
hamein sairab karne ke liye dariya machalte the
magar ye pyas ke rishte sarabon se nikal aae
chalo achchha hua aaKHir tumhaari nind bhi TuTi
chalo achchha hua ab tum bhi KHwabon se nikal aae
na jaane 'shad' un ka qarz main kaise chukaunga
mere bhi nam kuchh lamhe hisabon se nikal aae
Ghazal
Kai na-ashna chehre hijabon se nikal aae
Khushbir Singh Shaad