kai din ho gae ya-rab nahin dekha hai yar apna
hua malum yun shayad kiya kam un ne pyar apna
hawa bhi ishq ki lagne na deta main use hargiz
agar is dil pe hota hae kuchh bhi iKHtiyar apna
ye dono lazim-o-malzum hain goya ki aapas mein
na yar apna kabhu hote sunane rozgar apna
hua hun KHak us ke gham mein to bhi sina-safi se
nahin khota hai wo aaina-ru dil se ghubar apna
ye shoala sa tumhaara rang kuchh zor hi jhamakta hai
jala kyunkar na dun main KHirman-e-sabr-o-qarar apna
sar-e-fitrak tha us ko na tha lekin nasibon mein
taDapta chhoD kar jata raha zalim shikar apna
tujhe lazim hai hona mehrban 'taban' pa ai zalim
ki hai betab apna aashiq apna be-qarar apna
Ghazal
Kai din ho gae ya-rab nahin dekha hai yar apna
Taban Abdul Hai