kaif-e-masti mein ajab jalwa-e-yaktai tha
tu hi tu tha na tamasha na tamashai tha
husn be-wasta-e-zauq-e-KHud-arai tha
ishq be-wahima-e-lazzat-e-ruswai tha
teri hasti mein na kasrat thi na wahdat paida
hama o be-hama o ba-hama yakjai tha
parda-dar koi na tha aur na dar-parda koi
ghairat-e-ishq na thi aalam-e-tanhai tha
la-fana teri sifat thi teri hasti ka subut
be-nishan tera nishan surat-e-binai tha
haal tha haal na mazi tha na tha mustaqbil
az-azal ta-ba-abad jalwa-ba-ranai tha
zat qaem thi ba-zat aur sifat thi madum
kun na tha marka-e-anjuman-arai tha
bazm mein tu ne jo ulTa ruKH-e-raushan se naqab
ek aalam tere jalwe ka tamashai tha
fitna-za husn hua ishq hua shor-e-fagan
ram hua shauq-faza shauq tamannai tha
koi sabit koi sayyara koi mutahayyar
koi aashiq koi majnun koi saudai tha
harf aur saut mein aata hai kisi ka ho kalam
'sahir' aaghaz mein kun ghayat-e-paidai tha

Ghazal
Kaif-e-masti mein ajab jalwa-e-yaktai tha
Sahir dehlavi