kaif-e-hayat tere siwa kuchh nahin raha
teri qasam hai tujh se juda kuchh nahin raha
wallah sab ruten hain pareshan tere baghair
wallah mausamon ka maza kuchh nahin raha
tufan sahilon ko uDate chale gae
kaise kahun ki kuchh bhi raha kuchh nahin raha
afsos mabadon mein KHuda bechte hain log
ab mani-e-saza-o-jaza kuchh nahin raha
hum mai-kashon pe kufr ke fatwe diye gae
ahl-e-KHuda ko KHauf-e-KHuda kuchh nahin raha
hum to wafa-parast rahenge tamam umr
mana ki un ko pas-e-wafa kuchh nahin raha
'kaifi' main kis tarah se wo manzar bayan karun
main ne jo ro ke un se kaha kuchh nahin raha
Ghazal
Kaif-e-hayat tere siwa kuchh nahin raha
Iqbal Kaifi