kahun ye kaise ki jine ka hausla dete
magar yahi ki mujhe gham koi naya dete
shab-e-guzishta bahut tez chal rahi thi hawa
sada to di pe kahan tak tujhe sada dete
kai zamane isi pech-o-tab mein guzre
ki aasman ko tere panw par jhuka dete
ye kahiye lauh-e-jabin par hai dagh-e-ruswai
zamane wale hamein KHak mein mila dete
hui thi hum se jo laghzish to tham lena tha
hamare hath tumhein umr bhar dua dete
bhala hua ki koi aur mil gaya tum sa
wagarna hum bhi kisi din tumhein bhula dete
koi ho lamha-e-fursat ki baiTh kar hum bhi
zara urus-e-tamanna ko aaina dete
mila hai jurm-e-wafa par azab-e-mahjuri
hum apne aap ko is se kaDi saza dete
zaban pe kis liye ye harf-e-nagawar aata
hamare zaKHm hamara agar pata dete
zara si der Thaharti jo gardish-e-ayyam
use shabab-e-gurezan ka wasta dete
Ghazal
Kahun ye kaise ki jine ka hausla dete
Khalilur Rahman Azmi