kahun main kya ki kya dard-e-nihan hai
tumhaare puchhne hi se ayan hai
shikayat ki bhi ab taqat kahan hai
nigah-e-hasrat aah-e-na-tawan hai
nishan-e-pa-e-gair us aastan par
nahin hai mere marqad ka nishan hai
ajal ne ki hai kis dam mehrbani
ki jab pahlu mein wo na-mehrban hai
tujhe bhi mil gaya hai koi tujh sa
ab aaine se wo sohbat kahan hai
ye kis gul-ru ka aalam yaad aaya
dam-e-sard ek nasim-e-bostan hai
hui betabi-e-bulbul moassir
ki ghabraya hua kuchh baghban hai
sahar un ko irada hai safar ka
qayamat aane mein shab darmiyan hai
koi yan lao us isa-nafas ko
ki marta 'shefta' nam ek jawan hai

Ghazal
Kahun main kya ki kya dard-e-nihan hai
Shefta Mustafa Khan