اردو हिंदी
Kahti hui ye mujhse hawa-e-sahar gai | Shaahi Shayari
kahti hui ye mujhse hawa-e-sahar gai

Ghazal

Kahti hui ye mujhse hawa-e-sahar gai

Khalid Shirazi

;

kahti hui ye mujh se hawa-e-sahar gai
dasht-e-talab mein shabnam-e-ehsas mar gai

rakkha na tha qadam abhi dasht-e-sukut mein
aawaz meri apne hi sae se Dar gai

main us ka nauha ban ke andhere mein ghul gaya
wo ek kiran jo mere liye dar-ba-dar gai

main likh raha tha phul ki patti pe tera nam
kanTe ki nok sina-e-gul mein utar gai

mahfil mein raat nit-nae chehron ke shor mein
wo kaun tha ki jis se lipaTne nazar gai

jis se thi aabru-e-talatum wo mauj bhi
'KHalid' kanar-e-KHak pe sar rakh ke mar gai