kahte hain sar-e-rah munasib nahin milna
kya KHub ki ab hogi kahin aur mulaqat
halki si KHalish dil mein nigahon mein udasi
shayad yunhi hoti hai mohabbat ki shuruat
TuTe hue tare mein nahin koi tajalli
palkon se gira ashk to kya rah gai auqat
hum ne bhi uThai hai bahut aaj KHarabi
'wasif' ko bulao ki chalen su-e-KHarabaat

Ghazal
Kahte hain sar-e-rah munasib nahin milna
Wasif Dehlvi