kahte hain log yar ka abru phaDak gaya
tegha sa kuchh nazar mein hamari saDak gaya
main kya karun ada-e-ghazab-nak ka bayan
bijli sa mere samne aa kar kaDak gaya
nale se mere gul to hua chaak pairahan
bulbul tera jigar na ye sun kar taDak gaya
koi gaya na KHauf se qatil ke samne
main hi tha us ke ru-ba-ru jo be-dhaDak gaya
mushkil paDega phir to bujhana jahan ka
jo Tuk ziyaada ishq ka shoala bhaDak gaya
'sauda' chura chuka hi tha gulshan mein gul ko main
qismat ko apni kya kahun patta khaDak gaya

Ghazal
Kahte hain log yar ka abru phaDak gaya
Sauda Mohammad Rafi