kaho na ye ki mohabbat hai tirgi se mujhe
Dara diya hai patangon ne raushni se mujhe
safina shauq ka ab ke jo Dub kar ubhra
nikal le gaya dariya-e-be-KHudi se mujhe
hai meri aankh mein ab tak wahi safar ka ghubar
mila jo rah mein sahra-e-agahi se mujhe
KHirad inhi se banati hai rahbari ka mizaj
ye tajrabe jo mayassar hain gumrahi se mujhe
abhi to panw se kanTe nikalta hun main
abhi nikal na gulzar-e-zindagi se mujhe
zaban-e-haal se kahta hai naz-e-ishwa-gari
haya chhupa na saki chashm-e-mazhari se mujhe
barae dad-e-suKHan kasa-e-sawal ho dil
KHuda bachae 'jamil' is gadagari se mujhe
Ghazal
Kaho na ye ki mohabbat hai tirgi se mujhe
Jameel Mazhari