kahne ko to har baat kahi tere muqabil
lekin wo fasana jo mere dil pe raqam hai
mahrumi ka ehsas mujhe kis liye hota
hasil hai jo mujh ko kahan duniya ko baham hai
ya tujh se bichhaDne ka nahin hausla mujh mein
ya tere taghaful mein bhi andaz-e-karam hai
thoDi si jagah mujh ko bhi mil jae kahin par
wahshat tere kuche mein mere shahar se kam hai
ai ham-safaro TuTe na sanson ka tasalsul
ye qafila-e-shauq bahut tez-qadam hai
Ghazal
Kahne ko to har baat kahi tere muqabil
Shahryar