kahne ko sham-e-bazm-e-zaman-o-makan hun main
socho to sirf kushta-e-daur-e-jahan hun main
aata hun main zamane ki aankhon mein raat din
lekin KHud apni nazron se ab tak nihan hun main
jata nahin kinaron se aage kisi ka dhyan
kab se pukarta hun yahan hun yahan hun main
ek Dubte wajud ki main hi pukar hun
aur aap hi wajud ka andha kuan hun main
cigarette jise sulagta hua koi chhoD de
us ka dhuan hun aur pareshan dhuan hun main
Ghazal
Kahne ko sham-e-bazm-e-zaman-o-makan hun main
Ameeq Hanafi