kahna ho jo bhi saf kaho be-jhijak kaho
apnon se koi baat chhupata nahin koi
shayad kisi adu ne tere kan bhar diye
warna nigah yun to churaata nahin koi
jis mein zara bhi kibr ka hota hai shaiba
us ko nigah mein kabhi lata nahin koi
un ko zarur mujh se lagawaT hai kuchh na kuchh
yun haal-e-dil kisi ko sunata nahin koi

Ghazal
Kahna ho jo bhi saf kaho be-jhijak kaho
Sahar Mahmood