اردو हिंदी
Kahiye gar rabt muddai se hai | Shaahi Shayari
kahiye gar rabt muddai se hai

Ghazal

Kahiye gar rabt muddai se hai

Nizam Rampuri

;

kahiye gar rabt muddai se hai
kahte hain dosti tujhi se hai

dekhiye aage aage kya kuchh ho
dil ki harkat ye kuchh abhi se hai

us ki ulfat mein jite-ji marna
faeda ye bhi zindagi se hai

zid hai gar hai to ho sabhi ke sath
ya na milne ki zid mujhi se hai

KHauf se tum se kah nahin sakte
dil mein ek aarzu kabhi se hai

mujh se puchho ho kis se ulfat hai
tum samajhte nahin kisi se hai

ranjish-e-ghair se nahin matlab
kaam hum ko teri KHushi se hai

is qadar aap hum pe zulm karen
is ka insaf aap hi se hai

rashk dushman na sah sakega 'nizam'
ye bhi na-chaar apne ji se hai