kahin shunawai nahin husn ki mahfil ke KHilaf
gul na kyun hanste rahen shor-e-anadil ke KHilaf
jaan-o-iman bhi wahi dushman-e-jaan-o-iman
hum gawahi bhi na denge kahin qatil ke KHilaf
kisi jade pe chalo chhoDegi tanhai na sath
qadam uTThen to kidhar ishq ki manzil ke KHilaf
bazm-e-yaran ho ki mai naghma ke faizan-e-suKHan
sab hain sazish mein sharik us ki mere dil ke KHilaf
hijr mein ji ke bahalne ke the jitne hile
wahshat ek sath rahi ho gae sab mil ke KHilaf
isi aaghosh mein dam toDengi aa kar maujen
bhagti phirti hain bekar hi sahil ke KHilaf
aql-e-duniya ka tumhein dawa hai be-wajh 'wahid'
do-qadam chal nahin sakte kabhi tum dil ke KHilaf

Ghazal
Kahin shunawai nahin husn ki mahfil ke KHilaf
Waheed Akhtar