kahin shoala kahin KHakistar-e-taza nazar aaya
wahan main tha jahan phulon ka darwaza nazar aaya
bahakti hain hawaen phul be-mausam bhi khilte hain
jahan-e-ab-o-gil hum ko ba-andaza nazar aaya
hawa ki zahr-naki abr-e-na-rafta ki saffaki
mujhe aksar wida-e-gul ka KHamyaza nazar aaya
udasi thi ki tha ek jalwa-e-sad-rang-o-bu shayad
dil-e-be-rang bhi rangon ka shiraaza nazar aaya
shajar ka aks tha aab-e-rawan tha aur main bhi tha
samar shaKH-e-burida ka tar-o-taza nazar aaya
zaban ka husn bhi hamwar-o-na-hamwar hota hai
kahin fitrat nazar aai kahin ghaza nazar aaya
Ghazal
Kahin shoala kahin KHakistar-e-taza nazar aaya
Syed Amin Ashraf