kahin se saz-e-shikasta ki phir sada aai
bahut dinon mein ek aawaz aashna aai
chali kuchh aaj is andaz se nasim-e-sahar
ki bar bar kisi ki sada-e-pa aai
tumhaari talat-e-zeba ko kar liya sajda
nazar jahan bhi koi shakl-e-dilruba aai
ajib lutf hua un ki yaad se mahsus
ki jaise dil ke dariche khule hawa aai
rah-e-hayat mein kanTe bikherne wale!
hayat bhi tere dar tak barhana-pa aai
chaman se pahle to ek sail-e-atishin guzra
phir us ke baad barasti hui ghaTa aai
shuru-e-ishq mein un se hi kuchh hijab na tha
kabhi kabhi to KHud apne se bhi haya aai
hum apne haal-e-pareshan pe barha roe
aur us ke baad hansi hum ko barha aai
kabhi qarib se chheDa jo saz-e-jaan ko 'rais'
to gosh-e-dil mein bahut dur ki sada aai
Ghazal
Kahin se saz-e-shikasta ki phir sada aai
Rais Amrohvi