اردو हिंदी
Kahin pe mal-o-duniya ki KHaridar ki baaten hain | Shaahi Shayari
kahin pe mal-o-duniya ki KHaridar ki baaten hain

Ghazal

Kahin pe mal-o-duniya ki KHaridar ki baaten hain

Hina Rizwi

;

kahin pe mal-o-duniya ki KHaridar ki baaten hain
kahin pe din-ba-din baDhti riya-kari ki baaten hain

bhare bazar mein sach ki dukanon par hai sannaTa
tijarat jhuT ki chamki hai makkari ki baaten hain

kahin roze pe roze sirf pani pi ke khulte hain
kahin bas nam pe rozon ke iftari ki baaten hain

kahin khana hi khana hai magar pine se kab fursat
kahin pe bhuk ki basti mein bimari ki baaten hain

zamane aur the wo jin mein kuchh darwesh hote the
nae is daur mein har samt bad-kari ki baaten hain

wafa isar qurbani wahan ab log kya jaanen
jahan nilam hote zarf-o-KHuddari ki baaten hain

kabhi mazhab tha dil mein ab hai daulat ki panahon mein
KHuda ka nam le kar bhi gunahgari ki baaten hain

kisi ke zaKHm pe marham 'hina' rakhta nahin koi
namak lahjon ne ghola qalb-azari ki baaten hain