kahin na tha wo dariya jis ka sahil tha main
aankh khuli to ek sahra ke muqabil tha main
hasil kar ke tujh ko ab sharminda sa hun
tha ek waqt ki sach-much tere qabil tha main
kis ehsas-e-jurm ki sab karte hain tawaqqo
ek kirdar kiya tha jis mein qatil tha main
kaun tha wo jis ne ye haal kiya hai mera
kis ko itni aasani se hasil tha main
sari tawajjoh dushman par markuz thi meri
apni taraf se to bilkul hi ghafil tha main
jin par main thoDa sa bhi aasan hua hun
wahi bata sakte hain kitna mushkil tha main
nind nahin aati thi sazish ke dhaDke mein
fateh ho kar bhi kis darja buzdil tha main
ghar mein KHud ko qaid to main ne aaj kiya hai
tab bhi tanha tha jab mahfil mahfil tha main
Ghazal
Kahin na tha wo dariya jis ka sahil tha main
Shariq Kaifi