اردو हिंदी
Kahin kuchh aur bhi hai KHwahish-e-digar ke baad | Shaahi Shayari
kahin kuchh aur bhi hai KHwahish-e-digar ke baad

Ghazal

Kahin kuchh aur bhi hai KHwahish-e-digar ke baad

Shafaq Sopori

;

kahin kuchh aur bhi hai KHwahish-e-digar ke baad
na jaane kaun si manzil hai KHair-o-shar ke baad

teri gali mein mere dil ki qadr hai to sahi
magar hai gard-o-KHas-o-KHak-e-rahguzar ke baad

badal ke rahguzar manzil-e-digar ki taraf
isi safar pe chalenge hum is safar ke baad

ajib tarah ka ye be-niyaz mausam hai
shagufe nikle meri shaKH pe samar ke baad