اردو हिंदी
Kahin ka ghussa kahin ki ghuTan utarte hain | Shaahi Shayari
kahin ka ghussa kahin ki ghuTan utarte hain

Ghazal

Kahin ka ghussa kahin ki ghuTan utarte hain

Shahid Jamal

;

kahin ka ghussa kahin ki ghuTan utarte hain
ghurur ye hai kaghaz pe fan utarte hain

suni hai TuTte patton ki hum ne sargoshi
ye peD paude bhi kya pairahan utarte hain

siyasi logon se ummid kaisi KHak-e-watan
watan ka qarz kahin rahzan utarte hain

zamin pe rakh den agar aap apni shamshiren
to hum bhi apne saron se kafan utarte hain

utar ke ruh ki gahraiyon mein hum har roz
KHud apni qabr mein apna badan utarte hain

KHuda kare ki salamat rahen ye buDhe shajar
ki hum parinde yahin par thakan utarte hain