kahin jine se main Darne laga to
ajal ke waqt hi ghabra gaya to
ye duniya ashk se gham napti hai
agar main zabt kar ke rah gaya to
KHushi se nind mein hi chal basunga
wo gar KHwabon mein hi mera hua to
ye unchi buildingen hain jis ke dam se
wo KHud footpath par soya mila to
main barson se jo ab tak kah na paya
labon tak phir wahi aa kar ruka to
qarine se saja kamra hai jis ka
wo KHud andar se gar bikhra mila to
lakiron se hain mere hath KHali
magar phir bhi jo wo mujh ko mala to
yahan har shaKHs ro dega yaqinan
ghazal gar main yunhi kahta raha to
safar jari hai jis ke dam pe 'kanha'
agar naraaz wo jugnu hua to

Ghazal
Kahin jine se main Darne laga to
Prakhar Malviya Kanha