اردو हिंदी
Kahin goyai ke hathon samaat ro rahi hai | Shaahi Shayari
kahin goyai ke hathon samaat ro rahi hai

Ghazal

Kahin goyai ke hathon samaat ro rahi hai

Azm Bahzad

;

kahin goyai ke hathon samaat ro rahi hai
kahin lab-basta rah jaane ki hasrat ro rahi hai

kisi diwar par naKHun ne likkha hai rihai
kisi ghar mein asiri ki aziyyat ro rahi hai

kahin mimbar pe KHush baiTha hai ek sajde ka nashsha
kisi mehrab ke niche ibaadat ro rahi hai

ye mathe par pasine ki jo larzish tum ne dekhi
ye ek chehre pe la-hasil mashaqqat ro rahi hai

ajab mahfil hai sab ek dusre par hans rahe hain
ajab tanhai hai KHalwat ki KHalwat ro rahi hai

ye KHamoshi nahin sab iltijaen thak chuki hain
ye aankhen tar nahin rone ki himmat ro rahi hai

jo baad-az-hijr aaya us ko kaise wasl kah dun
shikayat se gale mil kar nadamat ro rahi hai

ise ghussa na samjho 'azm' ye mere lahu mein
musalsal zabt karne ki riwayat ro rahi hai