kahani likhte hue dastan sunate hue
wo so gaya hai mujhe KHwab se jagate hue
diye ki lau se chhalakta hai us ke husn ka aks
singar karte hue aaina sajate hue
ab is jagah se kai raste nikalte hain
main gum hua tha jahan rasta batate hue
pukarte hain unhen sahilon ke sannaTe
jo log Dub gae kashtiyan banate hue
phir us ne mujh se kisi baat ko chhupaya nahin
wo khul gaya tha kisi baat ko chhupate hue
mujhi mein tha wo sitara-sifat ki jis ke liye
main thak gaya hun zamane ki KHak uDate hue
mazaron aur munDeron ke rat-jagon mein 'salim'
badan pighalne lage hain diye jalate hue
Ghazal
Kahani likhte hue dastan sunate hue
Saleem Kausar