kahan tak waqt ke dariya ko hum Thahra hua dekhen
ye hasrat hai ki in aankhon se kuchh hota hua dekhen
bahut muddat hui ye aarzu karte hue hum ko
kabhi manzar kahin hum koi an-dekha hua dekhen
sukut-e-sham se pahle ki manzil saKHt hoti hai
kaho logon se suraj ko na yun Dhalta hua dekhen
hawaen baadban kholin lahu-asar barish ho
zamin-e-saKHt tujh ko phulta-phalta hua dekhen
dhuen ke baadalon mein chhup gae ujle makan sare
ye chaha tha ki manzar shahr ka badla hua dekhen
hamari be-hisi pe rone wala bhi nahin koi
chalo jaldi chalo phir shahr ko jalta hua dekhen
Ghazal
Kahan tak waqt ke dariya ko hum Thahra hua dekhen
Shahryar