اردو हिंदी
Kahan taqat ye rusi ko kahan himmat ye german ko | Shaahi Shayari
kahan taqat ye rusi ko kahan himmat ye german ko

Ghazal

Kahan taqat ye rusi ko kahan himmat ye german ko

Iqbal Suhail

;

kahan taqat ye rusi ko kahan himmat ye german ko
ki dekhe chashm-e-kaj se bhi meri shaKH-e-nasheman ko

wafa-dushman ye aalam ab to hai teri nawazish se
ki rahm aane laga meri zabun-haali pe dushman ko

na ab sayyaad ka khaTka na ab gulchin ka andesha
karam ne baghban ke phunk Dala mere gulshan ko

bhala in bijliyon ki shoala-samani ko kya kahiye
jinhon ne TukDe TukDe kar diya ho dasht-e-aiman ko

uThae hain ye fitne nargas-e-ghammaz ne warna
na but se shaiKH ko zid hai na kabe se barahman ko

lagawaT ka ye fan baad-e-sahar ne mujh se sikha hai
gulon ko gudgudaya aur na lipTe KHar daman ko